Pendrive ko RAM ki tarah istemal Karen - INTERNET GUIDE HINDI

Latest

Friday 15 July 2016

Pendrive ko RAM ki tarah istemal Karen

PEN DRIVE (USB) TRICKS

1)  Pendrive ko RAM ki tarah istemal Karen

Yeh ek bahut hi achaa or jana-mana tarika hai jo aapke Pendrive ko RAM
mein badal sakta hai jisse aap apne boot hone ki prakriya (computer/pc
ko on karna) ka time kam kar sakte hain jisse aapke system ka kaam
jaldi or fatafat hoga. Yeh tabhi sambhav ho sakta hai jab aapke pass
kisi bhi version ka window operating system, or ek pendrive jo ki kam
se kam 1GB memory ka ho (agar 4GB tak ka ho to bahut hi achaa hoga)
Ab aapko kuch steps follow karne honge jaise:-

online-survey-karke-paise-kaise-kamaye

1.      Apni pendrive ko system se jode.
2.      Fir thoda samay de taaki apka PC/laptop usko detect kar sake.
3.      Detect karne ke baad, ab right click kare My Computer per uske baad
properties par click kare.
4.      Ab aap Go to Advanced pe click karke Performance Settings pe click kare.
5.      Usme advance ke andar Change pe click Karen
6.      Usme apni pendrive ko chune or custom size pe click kare
7.      Usme aap yeh check kare ki kitni jagah(Space) available hai.
8.      Us value ko aap Initial or Max columns mein daalen.
9.      Ab aap PC/laptop ko restart kare.

Ab aap apne laptop ke khulne wale time par dhyan de or uski speed par
bhi. Ab yeh bad chuki hai or aapke system ki speed aapki pendrive ke
size pe nirbhar hai. To is tarah aap Pendrive ko virtual memory(RAM)
ke roop mein use kar sakte hain


2) Apne Pendrive ki Speed kaise badaaye.

Aap apni pendrive ki performance,speed bada sakte hai to niche diye
hue steps ko follow kare:

softwere-serial-number-kaise-dekhte-hai

1.      Aap apne system mein pendrive lagayen
2.      Fir aap my computer kholen usme apni pen-drive doondhe ab uspe
right click karke properties pe click Karen.
3.      Fir change settings per click kare.
4.      Ab aap usme Better performance ko chune or ok kar den.
Dekha naa kitna aasaan hai ! ab aapke pendrive ki speed bad gyi hai!

3) apne pendrive ke liye icon kaise lagaye.

1. sabse pehle aap ek .ico file ko doondhe jise aap istemal karna chahte hain.
2. ab us .ico file ko koi name den jaise autorun.ico or usko apni
drive mein daal den yaad rhe kisi folder mein nhi daalna hai sirf
drive ke root mein.
3. Ab aap drive ke root mein  ek text file banayiye jiska name aap
autorun.inf rakhen or usko copy karke paste kar dijiye uske andar:
[autorun] icon=autorun.ico
4. ab aap apni file ko save kar den.
Ab aap dekhenge ki apki pendrive ka icon change ho gya hai us icon se
jo aapne select kiya tha.
4) Troubleshoot kare apni naa detect hone wali pendrive ko
Kai baar kya hota hai ki jab aap apni pen drive apne system mein
lagate hain to wo apne aap detect nhi hoti. Aisa kai baar hota hai jab
aap koi nayi lai hui pendrive ko lagate hain or yeh ek aam samasya
hoti hai jise ham sab jaante hai aapke saath bhi hoti hogi yeh
samasya. Kuch log to yeh soch lete hain ki unka pendrive kaam nhi kar
rha hai or wo use fekne ke baare mein tak soch lete hain. Lekin yeh
karne se pehle aap hamari ek asaan trick istemaal kijiye. Ho sakta hai
yeh kisi system mein work kare ya naa kare par iska procedure ek dam
saral hai jo aapki naa detect hone wali pendrive ko detect kar lega.
To aap hamare saath in steps ko follow Karen;
1.      Pendrive ko system mein lagayen.
2.      Ab aap device manager mein jaaye (aap ctrl+r dabakar or type kare
devmgmt.msc likhkar enter kar dijiye aap isse bhi kar sakte hain)
3.      Fir aap usme Universal Serial Bus Controllers per click kare.

Isme aapko wo saare storage devices dikha dega jo aapke pc se
connected honge yahan tak ki jo naa detect hone wali pendrive bhi.

4.      Ab aap apni naa detect hui pendrive pe right click karke use uninstall karo.
5.      Uske baad apni pendrive bahar nikaalo or computer ko restart karo.
6.      Ab pendrive dubara connect karo.

Kai cases mein paya gya ki yeh ek kaamgaar tarika hai Isliye aap apne
naa detect hone wale pendrive ko fekne se pehle ise jaroor try kare.


Aapko hamara yeh post kaisa laga comment karke jaroor batayen or aisa
hi koi article jo technology se related jaankari deta hun aap hame
hamare email ------------- per bhejiye ham use jaroor publish karenge
or saath mein aapka name or aapki website ka bhi name denge(agar ho)
Ant mein aapse vida lete hue yahi kahunga ki aap hamare saath jude rhe
taaki aapko technology se related kai articles mile iske liye agar aap
chahe to apne email se hamare is blog ko subscribe kar sakte hai jisse
fayda yeh hoga ki aapko hamare blog ki hare k post sidha aapke mail
mein post hoke mil jayegi jisse aap hamari ek bhi post miss nhi karoge
or hamara aapka nata bana rhega.DHANYAWAAD.

3 comments:

  1. Bhai aap bahut achi jankari diye ho meri pendrive detect nhi ho rhi thi par aapki di hui trick ko use kiya to hone lagi hai thanks bro...
    Robin (hinglishmeblog.com)

    ReplyDelete
  2. Bahoot achhi janakari share ki hai aapane.. Isase computer field me new logo ko bahoot help milegi. Thanks for sharing

    ReplyDelete
  3. Wow! Such an amazing and helpful post this is. I really really love it. It's so good and so awesome. I am just amazed. I hope that you continue to do your work like this in the future also how to allocate more ram to minecraft

    ReplyDelete